Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a2dfac53a9b640ace9152ae910d93eb7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yaqin TuT Chuka Hai Guman Baqi Hai - Hasan Kamal Poetry In English - Darsaal

Yaqin TuT Chuka Hai Guman Baqi Hai

yaqin TuT chuka hai guman baqi hai

hamare sar pe abhi aasman baqi hai

chale to aae hain hum KHwab se haqiqat tak

safar tawil tha ab tak takan baqi hai

unhen ye zoam ki fariyaad ka chalan na raha

hamein yaqin ki munh mein zaban baqi hai

har ek samt se pathraw hai magar ab tak

lahuluhan parinde mein jaan baqi hai

fasana shahr ki tamir ka sunane ko

gali ke moD pe TuTa makan baqi hai

mila na jo hamein qatil ki aastin pe 'hasan'

usi lahu ka zamin pe nishan baqi hai

(1779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaqin TuT Chuka Hai Guman Baqi Hai In English By Famous Poet Hasan Kamal. Yaqin TuT Chuka Hai Guman Baqi Hai is written by Hasan Kamal. Read famous Poem Yaqin TuT Chuka Hai Guman Baqi Hai for youth and Student by Hasan Kamal. Free Download Yaqin TuT Chuka Hai Guman Baqi Hai in PDF.