Apni Wajh-e-barbaadi Jaante Hain Hum Lekin Kya Karen Bayan Logo
apni wajh-e-barbaadi jaante hain hum lekin kya karen bayan logo
maslahat-parasti par har qadam raha hum ko jurm ka guman logo
KHair hum to kanTe the aur hamein kuchalna bhi waqt ka taqaza tha
phul jin ko samjhe the ab suna hai un se bhi hain wo sargiran logo
jis kai ishq ki hum par tohmaten lagate ho us hasin paikar par
hum ne dil hi khoya hai tum jo dekhte shayad war dete jaan logo
kya sabab bataen hum nala-e-shabana ka puchh lo in aankhon se
is nigah-e-jadu mein apne har tabassum ki hain kahaniyan logo
waqt ki nazakat ka aaj jo taqaza hai jurm kal na kahlae
toD do KHamoshi ke aahani hisaron ko khol do zaban logo
sher kya ghazal kaisi ai 'hasan' ye fan hai jis ko kuchh hi samjhenge
DhunDh pao to DhunDho in chhupe ishaaron mein apni dastan logo
(1764) Peoples Rate This