Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d53545b8f694c1ce7ee25ba51ce6d716, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Marne Se Tumko Fikr Ai Dildar Kaisi Hai - Hasan Barelvi Poetry In English - Darsaal

Mere Marne Se Tumko Fikr Ai Dildar Kaisi Hai

mere marne se tum ko fikr ai dildar kaisi hai

tumhaari dil-lagi ko mahfil-e-aghyar kaisi hai

hamare ghar se jaana muskura kar phir ye farmana

tumhein meri qasam dekho meri raftar kaisi hai

wo mujh se puchhte hain ghair se aur tum se kyun bigDi

zara hum bhi sunen aapas mein ye takrar kaisi hai

maaz-allah barq-e-husn kis ki aankhen uThne de

tamashai nahin waqif ki shakl-e-yar kaisi hai

'hasan' jam-e-mai-e-gul-rang le kar sochte kya ho

agar qimat nahin qimat mein ye dastar kaisi hai

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Marne Se Tumko Fikr Ai Dildar Kaisi Hai In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Mere Marne Se Tumko Fikr Ai Dildar Kaisi Hai is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Mere Marne Se Tumko Fikr Ai Dildar Kaisi Hai for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Mere Marne Se Tumko Fikr Ai Dildar Kaisi Hai in PDF.