Kaha Jab Tum Se Chaara Dard-e-dil Ka Ho Nahin Sakta
kaha jab tum se chaara dard-e-dil ka ho nahin sakta
to jhunjhla kar kaha tera kaleja ho nahin sakta
wo apni zid ke pure haT ke pure aan ke pure
faqat itni kami hai qaul pura ho nahin sakta
kahan ki chaara-farmai ayaadat tak nahin karte
masihai pe marte hain aur itna ho nahin sakta
sar-e-tur un ke jalwe ne pukara KHud-numa ho kar
ki apne chahne wale se parda ho nahin sakta
kaha jab un se meri zindagi tum ho kaha hans kar
main samjha ab tumhein mera bharosa ho nahin sakta
mera ghar ghair ka ghar to nahin kyun-kar wo khul khelen
nigahen uTh nahin saktin ishaara ho nahin sakta
'sharaf' aur 'rashk' ke kahne se kuchh tuk-bandiyan kar lin
'hasan' afkar mein hum se do-ghazla ho nahin sakta
(772) Peoples Rate This