Jab Mera Mahr Jalwa-gar Hoga
jab mera mahr jalwa-gar hoga
dopahar hoga jo pahar hoga
tum nahin karte qatl to na karo
zahr mein bhi to kuchh asar hoga
o raqibon ki raunaq-e-mahfil
is taraf bhi kabhi guzar hoga
hazrat-e-dil mizaj kaisa hai
phir bhi us kuche mein guzar hoga
kis ko matlab hai be-kason se 'hasan'
kaun mera payam-bar hoga
(766) Peoples Rate This