Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala
husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala
ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala
aarzu-e-did-e-jaanan bazm mein lai mujhe
bazm se main aarzu-e-did-e-jaanan le chala
bismilon ko zaKHm zaKHmon ko mubarak lazzaten
su-e-maqtal phir koi tegh-o-namak-dan le chala
KHun-e-nahaq ki haya boli zara munh Dhank lo
naz jab un ko sar-e-KHak-e-shahidan le chala
kaT gaya aashiq sar-e-bazar sauda bik gaya
jaan-e-laila ishq ne dil husn-e-KHuban le chala
KHak-e-ashiq rokne ko dur tak lipTi gai
jab samand-e-naz ko wo garm-jaulan le chala
mere ghar tak panw paD kar un ko laya tha niyaz
naz daman khinchta su-e-raqiban le chala
dil ko jaanan se 'hasan' samjha-bujha ke lae the
dil hamein samjha-bujha kar su-e-jaanan le chala
(975) Peoples Rate This