Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fe0fac7acb4ffadc93e4ba8c806e969b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala - Hasan Barelvi Poetry In English - Darsaal

Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala

husn jab maqtal ki jaanib tegh-e-burran le chala

ishq apne mujrmon ko pa-ba-jaulan le chala

KHun-e-nahaq ki haya boli zara munh Dhank lo

naz jab un ko sar-e-KHak-e-shahidan le chala

KHak-e-ashiq rokne ko dur tak lipTi gai

jab samand-e-naz ko wo garm-jaulan le chala

jab chali maqtal se qatil ki sawari raat ko

aage aage mishalen KHun-e-shahidan le chala

aarzu-e-did-e-jaanan bazm mein lai mujhe

bazm se main aarzu-e-did-e-jaanan le chala

DhunDti thi har taraf kis ko nigah-e-wapsin

aas kis ke did ki bimar-e-hijran le chala

naz-e-azadi 'hasan' wajh-e-asiri ho gaya

mu-kashan dil ko KHayal-e-zulf-e-paiman le chala

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Husn Jab Maqtal Ki Jaanib Tegh-e-burran Le Chala in PDF.