Haal-e-marg-e-be-kasi Sun Kar Asar Koi Na Ho
haal-e-marg-e-be-kasi sun kar asar koi na ho
sach to ye hai aap sa bhi be-KHabar koi na ho
hae dushman dekhen un ke uThte jauban ki bahaar
hae main koi na hun meri nazar koi na ho
is tamanna par kaTe marte hain mushtaqan-e-qatl
yar par qurban hum se peshtar koi na ho
wo qayamat ki ghaDi hai talib-e-didar par
jab uThe parda to parde ke udhar koi na ho
ishq mein be-tabiyan hoti hain lekin ai 'hasan'
jis qadar bechain tum ho us qadar koi na ho
(845) Peoples Rate This