Dekhe Agar Ye Garmi-e-bazar Aaftab

dekhe agar ye garmi-e-bazar aaftab

sar bech kar ho tera KHaridar aaftab

wo husn-e-KHud-farosh agar be-naqab ho

mahtab mushtari ho KHaridar aaftab

poshida gesuon mein hua ru-epur-ziya

hai aaj mehman-e-shab-e-tar aaftab

us ki tajalliyon se kare kaun ham-sari

ho jis ke naqsh-e-pa se numudar aaftab

ahbab ko 'hasan' wo chamakti ghazal suna

har lafz se ho jis ke numudar aaftab

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhe Agar Ye Garmi-e-bazar Aaftab In English By Famous Poet Hasan Barelvi. Dekhe Agar Ye Garmi-e-bazar Aaftab is written by Hasan Barelvi. Read famous Poem Dekhe Agar Ye Garmi-e-bazar Aaftab for youth and Student by Hasan Barelvi. Free Download Dekhe Agar Ye Garmi-e-bazar Aaftab in PDF.