Chashm-e-zahir Se RuKH-e-yar Ka Parda Dekha
chashm-e-zahir se ruKH-e-yar ka parda dekha
aankhen jab phuT gain tab ye tamasha dekha
dekhna ye hai ki hum ne tumhein kaisa chaha
puchhna ye hai ki tum ne hamein kaisa dekha
phir jalaoge kabhi talib-e-didar ka KHat
saikDon aankhon se us ne tumhein dekha dekha
kan wo kan hai jis ne teri aawaz suni
aankh wo aankh hai jis ne tera jalwa dekha
aap kahte hain ki ja dekh liya dil tera
kahiye to apne siwa dil mein mere kya dekha
tum KHabar bhi na hue KHana-ba-doshon se kabhi
hum ne ghar phunk diya sab ne tamasha dekha
jin se hon soKHta-jaanon ke kaleje ThanDe
unhin jalwon se 'hasan' tur ko jalta dekha
(794) Peoples Rate This