Shua-e-zar Na Mili Rang-e-shairana Mila
shua-e-zar na mili rang-e-shairana mila
mata-e-nur se kya mujh ko munsifana mila
main kis se puchhun ki is sail-e-KHak se bahar
kise nikalna na tha kis ko rasta na mila
kahin dikhai na di anjum-e-dua ki chamak
ghane andhere mein ek hath bhi uTha na mila
bhaTak raha hun main is dasht-e-sang mein kab se
abhi talak to dar-e-aina khula na mila
jalae phirta raha mishal-e-tajassus main
magar suragh kahin khoi sham ka na mila
ugalta hoga kabhi sona chandi KHitta-e-dil
mujhe to ek bhi sikka yahan paDa na mila
nawah-e-jaan mein wo tufan-e-habs tha ki 'hasan'
hawa to kya ki kahin hawa na mila
(674) Peoples Rate This