KHud Par Koi Tufan Guzar Jaane Ke Dar Se
KHud par koi tufan guzar jaane ke Dar se
main band hun kamre mein bikhar jaane ke Dar se
ye log mujhe KHun ka tajir na samajh len
main tegh liye phirta hun sar jaane ke Dar se
har sae pe aahaT pe nazar rakhta hun shab bhar
bistar pe nahin jata hun Dar jaane ke Dar se
main TuTne deta nahin rangon ka tasalsul
zaKHmon ko hara karta hun bhar jaane ke Dar se
wo man ki mohabbat ki bulandi thi ki us ne
zinda hi na chhoDa mujhe mar jaane ke Dar se
kuchh jit mein bhi faeda hota nahin phir bhi
wo jang nahin haarta harjaane ke Dar se
afsurda 'hasan' hain mere lashkar ke sipahi
us tak mere zaKHmon ki KHabar jaane ke Dar se
(891) Peoples Rate This