Kaman UThao Ki Hain Samne Nishane Bahut
kaman uThao ki hain samne nishane bahut
abhi to KHali paDe hain lahu ke KHane bahut
wo dhup thi ki hui ja rahi thi jism ke par
agarche hum ne ghane sae sar pe tane bahut
abhi kuchh aur ka ehsas phir bhi zinda hai
nawah-e-jism ke asrar hum ne jaane bahut
ziyaada kuchh bhi nahin ek musht-e-KHak se main
zara si chiz ko phaila diya hawa ne bahut
laga hua hun udhar waqt ko sameTne mein
phisal rahe hain idhar hath se zamane bahut
safar qayam se behtar nahin raha ab ke
ki ja-ba-ja the meri rah mein Thikane bahut
baDi ajib thi pichhli KHamosh raat 'hasan'
mujhe rulaya kisi daur ki sada ne bahut
(761) Peoples Rate This