Jo Naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal Hai Us Ka
jo naqsh-e-barg-e-karam Dal Dal hai us ka
to dasht aag ugalta jalal hai us ka
dayar-e-dida-o-dil mein main sochta hun use
ki is se aage tasawwur muhaal hai us ka
adhuri baat hai zikr-e-muqim-e-shahr-e-junub
har ek musafir-e-rah-e-shumal hai us ka
badan ke dasht mein us ki hi gunj hai har su
jawab us ke hain har ek sawal hai us ka
usi ka hai ye bhara shahr dasht-e-KHali bhi
ye bhiD us ki hai qaht-ur-rijal hai us ka
main sochta hun ki taswir-e-KHak ko meri
hazar rang mein rangna kamal hai us ka
wo aaina bhi 'hasan' us ke fan ka jadu hai
ye chehra bhi hunar-e-la-zawal hai us ka
(714) Peoples Rate This