Ajib Haal Hai Sahra-nashin Hain Ghar Wale
ajib haal hai sahra-nashin hain ghar wale
gharon mein baiTh gae hain idhar-udhar wale
nawah-e-jism nahin garche regzar se kam
yahan bhi KHitte kai hain hare shajar wale
agarche shor bahut hai dar-e-dua pe magar
zabanen band kiye baiThe hain asar wale
hai rah-e-jaan yunhi sunsan ek muddat se
na gard uDi na dikhai diye safar wale
baghair aankh ke chehron ka ab chalan hai yahan
wo din gae ki hua karte the nazar wale
abhi main shahr ko sahra banae deta hun
ki mere hath bhi kuchh kam nahin hunar wale
simaT ke rah gae ab chand saaton mein 'hasan'
yahi the kaam kisi waqt umr-bhar wale
(763) Peoples Rate This