Fikr-e-manzil Hai Na Nam-e-rahnuma Lete Hain Hum
fikr-e-manzil hai na nam-e-rahnuma lete hain hum
apna zauq-e-rah-rawi KHud aazma lete hain hum
kasrat-e-gham mein bhi akasr muskura lete hain hum
zulmat-e-hasti mein yun shamen jala lete hain hum
kuchh na puchho himmaton se kaam kya lete hain hum
gham ko baada dil ko paimana bana lete hain hum
muntashir hone ko aati hai jo bazm-e-arzu
hauslon ki phir nai mahfil saja lete hain hum
qafila aa kar sar-e-manzil bhi ho jata hai gum
rahzan ko jab kabhi rahbar bana lete hain hum
zulm-e-dauran ko ata karna hai taza hausla
tir jo aata hai sine se laga lete hain hum
kyun mizaj-e-husn mein paida karen ek barhami
apne dil ko apna afsana suna lete hain hum
is qadar charke lage hain dahr mein ai ham-nashin
KHar kya phulon se bhi daman bacha lete hain hum
multafit hota nahin jab saqi-e-dauran 'hasan'
mai-kade mein baDh ke KHud saghar uTha lete hain hum
(709) Peoples Rate This