Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3b87f56452b57c17b15375de48742425, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Phandti Phirti Hain Ehsas Ke Jangal Ruhen - Hasan Akhtar Jaleel Poetry In English - Darsaal

Phandti Phirti Hain Ehsas Ke Jangal Ruhen

phandti phirti hain ehsas ke jangal ruhen

kab sakun paengi bhaTki hui be-kal ruhen

pa-shikasta hain shab-o-roz ke virane mein

DhunDti hain kise is dasht mein pagal ruhen

jab bhi uThte hain nigahon se gham-e-jaan ke hijab

dekh leti hain kisi shoKH ka aanchal ruhen

runuma ho chaman-e-dahr mein ai abr-e-nashat

dard ki dhup mein sanwlai hain komal ruhen

dil ke ujDe hue mandir ko basane ke liye

le ke aai thin kisi yaad ki mashal ruhen

raat sapnon ki sabha mein mere hamrah rahin

jab khuli aankh huin aankh se ojhal ruhen

(844) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phandti Phirti Hain Ehsas Ke Jangal Ruhen In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Phandti Phirti Hain Ehsas Ke Jangal Ruhen is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Phandti Phirti Hain Ehsas Ke Jangal Ruhen for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Phandti Phirti Hain Ehsas Ke Jangal Ruhen in PDF.