Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_94a17cb53c552c65b45e651edc5b900d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ko Aamada-e-wafa Rakhiye - Hasan Akhtar Jaleel Poetry In English - Darsaal

Dil Ko Aamada-e-wafa Rakhiye

dil ko aamada-e-wafa rakhiye

aandhiyan hain diya jala rakhiye

kitni sadiyon ki barf pighli hai

sail ka rasta khula rakhiye

ban ke lawa bahega josh-e-numu

ab na is aag ko daba rakhiye

KHun ahl-e-nazar se gulgun hai

KHak ka nam kimiya rakhiye

jo sahar ki kiran se phuTe hain

un andheron ka nam kya rakhiye

jalti shamon ki is chita pe 'jalil'

ek nai subh ki bina rakhiye

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Aamada-e-wafa Rakhiye In English By Famous Poet Hasan Akhtar Jaleel. Dil Ko Aamada-e-wafa Rakhiye is written by Hasan Akhtar Jaleel. Read famous Poem Dil Ko Aamada-e-wafa Rakhiye for youth and Student by Hasan Akhtar Jaleel. Free Download Dil Ko Aamada-e-wafa Rakhiye in PDF.