Barson Teri Talab Mein Safina Rawan Raha
barson teri talab mein safina rawan raha
ai mere mehrban bhanwar tu kahan raha
un se mili nazar to palaT kar na aa saki
wo rishta-e-nigah bhi kab darmiyan raha
kab umr-e-KHizr KHanda-e-gul ka jawab hai
yan do ghaDi mein umr-e-abad ka saman raha
main bhi tere baghair na aaram pa saka
tu bhi meri talash mein be-KHanaman raha
mujh ko gila hai tab-e-murawwat-shiar se
saghar-ba-dast ho ke bhi tishna wahan raha
ai daur-e-charKH ab koi tadbir aur kar
teri sitamgari pe to main shadman raha
mujh ko 'jalil' kaun kahega shikasta-dil
khaya tha ek zaKHm so wo be-nishan raha
(933) Peoples Rate This