Aai PatjhaD Gire Fasl-e-gul Ke Nishan Raat-bhar Mein
aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein
kaT gae kaise kaise sajile jawan raat bhar mein
TuTti pattiyon ki nigahon mein bechaargi hai
rakh si bujh gai panchhiyon ki fughan raat-bhar mein
do-ghaDi aur sun meri furqat ke betab nauhe
KHatm kaise ho ek umr ki dastan raat-bhar mein
to jo aaya to guzri bahaaren bhi hamrah laya
yaad ke dasht mein khil gae gulsitan raat-bhar mein
us ko pahchan pai na suraj ki pahli kiran bhi
jaise nauras kali ho gai ho jawan raat-bhar mein
laya kya kya guhar soch sagar se sapnon ka manjhi
mil gain kitni khoi hui kashtiyan raat-bhar mein
(762) Peoples Rate This