Rang-e-siyah Ke Nam Ek Nazm
kisi nigro ke tanomand paikar ki manind
ye sahili aabnusi chaTTanen
ki jin ke kaTaw
samundar ki saffak maujon ke baKHshe hue
ghaw mein
wo samundar jo hai nilgun
nili aankhon ki manind
aur jis ki lahron ke hathon mein
KHanjar ke phal ki tarah jagmagata hua nuqrai jhag hai
mauj-dar-mauj yalghaar hai KHanjaron ki
chaTTanon ke sine hadaf hain
ye chaTTanen
jo pa-basta be-zindagi aur tanha khaDi hain
samundar ke is nilgun aaine se bahut dur
upar khule aasman pur
faza mein bhaTakte hue abr-paron ko
sakit jahazon ke arshon pa manDlane wale
safed aur aazad aabi-parindon ko
sadiyon se dekhe chali ja rahi hain
magar kya ye mumkin nahin
in chaTTanon ko is qaid se aur tanhai se
ho ke aazad
un taeron baadalon titliyon ki tarah
sabza-zaron khule paniyon aur raushan fazaon mein
lahraate phirne ki hasrat bhi ho
hai agar yun to phir
un siyah-fam be-bas chaTanon ko
izn-e-rihai bhala kaun de
(931) Peoples Rate This