Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7ca6d467a6f1e500dabf304e6d7160b5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mashriqi LaDkiyon Ke Nam Ek Nazm - Hasan Akbar Kamal Poetry In English - Darsaal

Mashriqi LaDkiyon Ke Nam Ek Nazm

wahi dariya

jawan rangin nazuk machhliyon ka

hai bichhauna oDhna

ye machhliyan bholi

isi mein zinda rahna chahti hain

aur bahao ke muKHalif tairne ki

aarzu bhi dil mein rakhti hain

magar dariya

unhen KHashak ki surat baha kar

ek din pur-shor kaf-alud pur-haibat samundar ke hawale karne wala hai

yahi hota raha hai

to kya dariya yahi karta rahega

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mashriqi LaDkiyon Ke Nam Ek Nazm In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Mashriqi LaDkiyon Ke Nam Ek Nazm is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Mashriqi LaDkiyon Ke Nam Ek Nazm for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Mashriqi LaDkiyon Ke Nam Ek Nazm in PDF.