Use Shikast Na Hone Pe Man Kitna Tha
use shikast na hone pe man kitna tha
jo reza reza hua saKHt-jaan kitna tha
hai ab dilon mein ye dahshat ki sar pe aa na gire
zamin se dur yahi aasman kitna tha
main apna zarf bhi dekhun ki us se ranjish par
bhula diya ki wahi mehrban kitna tha
baja hai wusat-e-duniya magar chhuTa jab ghar
khula ki tang hamin par jahan kitna tha
diye to bujh gae bijli ke qumqume na bujhe
hawa ko zor pe apne guman kitna tha
jo phul god se us ki 'kamal' chhine gae
udas un ke liye pul-dan kitna tha
(830) Peoples Rate This