Us Ek Ummid Ko To Rahat-e-safar Na Samajh
us ek ummid ko to rahat-e-safar na samajh
hai raste mein kahin saya-e-shajar na samajh
jo samne na raha us ka aks aankh mein hai
ab itna KHali bhi ye kasa-e-nazar na samajh
jo ruh mein na utar jae wo jamal nahin
jo dil-gudaz na kar de use hunar na samajh
nazar parakh dil-e-majruh nashtaron pe na ja
har aane wale ko tu apna chaaragar na samajh
jo fasl-e-gul ki tamanna mein ho gae barbaad
wo ba-murad hain gham un ka be-samar na samajh
har ek ghar mein na jab tak charagh jal jae
'kamal' raushan-o-abaad apna ghar na samajh
(689) Peoples Rate This