Saffak Sarab Se Ziyaada
saffak sarab se ziyaada
hai ishq azab se ziyaada
maqtul ke chehre par chamak thi
talwar ki aab se ziyaada
main ahl-e-kitab ko hamesha
paDhta hun kitab se ziyaada
kya rang dikhae hum jo chahen
kanTe ko gulab se ziyaada
utra wo ragon mein zahr jis mein
nashsha hai sharab se ziyaada
manus hain gham 'kamal' shayad
mujh KHana-KHarab se ziyaada
(735) Peoples Rate This