Paya Jab Se ZaKHm Kisi Ko Khone Ka
paya jab se zaKHm kisi ko khone ka
sikha fan hum ne be-ansu rone ka
baDon ne us ko chhin liya hai bachchon se
KHabar nahin ab kya ho haal khilaune ka
ham-safaron se tark-e-safar ko kahta hun
Dar hai rah mein aisi baaten hone ka
ro dena bhi majburi to hai lekin
lutf alag hai dil mein aansu bone ka
miThe KHwab bhi hum dekhen gar mausam ho
lambi gahri miThi ninden sone ka
mere liye kya mere dam-e-aKHir tak hai
khel ye sara hone aur na hone ka
(926) Peoples Rate This