Kya Hota Hai KHizan Bahaar Ke Aane Jaane Se
kya hota hai KHizan bahaar ke aane jaane se
sab mausam hain dil khilne aur dil murjhane se
ek diya kab rok saka hai raat ko aane se
lekin dil kuchh sambhla to ek diya jalane se
jo phulon aur kanTon ki pahchan nahin rakhta
phul nahin rukte ghar us ka bhi mahkane se
jalte nazar nahin aae aur jal kar KHak hue
dur ka rishta apna bhi nikla parwane se
kachchi umr mein aur sawan mein kaise baz aaen
aankhen jagmag karne se aanchal lahrane se
kitna achchha lagta hai ek aam sa chehra bhi
sirf mohabbat-bhara tabassum lab par lane se
gae dinon mein rona bhi to kitna sachcha tha
dil halka ho jata tha jab ashk bahane se
bhigi raat ka sannaTa karta hai wahi baaten
zaKHm hare hote hain jo baaten yaad aane se
(846) Peoples Rate This