Kya Guman Tha Ki Na Hoga Koi Ham-sar Apna
kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna
din Dhale saya muqabil hua baDh kar apna
ghar se nalan the magar dekhi hai duniya hum ne
hai agar koi aman-gah to bas ghar apna
dard pe kaisa sharar ban ke uTha pahlu mein
hum to yun KHush the ki dil kar liya patthar apna
raat-bhar koi na soe to sune shor-e-fughan
chand ko dard sunata hai samundar apna
dukh uThae to bahut rang KHud apne dekhe
kam qayamat se na tha jo bhi tha manzar apna
roz-o-shab apne kisi se nahin milte hain 'kamal'
hum to lae hain alag sab se muqaddar apna
(731) Peoples Rate This