Ghazal Mein Husn Ka Uske Bayan Rakhna Hai
ghazal mein husn ka us ke bayan rakhna hai
kamal aaankhon mein goya zaban rakhna hai
jahaz-ran hunar o hausla na le ja sath
hua ke ruKH pe agar baadban rakhna hai
bhara to hai mera tarkash magar ye dil hai gudaz
so umr bhar mujhe KHali kaman rakhna hai
diye bujhati rahi dil bujha sake to bujhae
hawa ke samne ye imtihan rakhna hai
bahut hanse mere is faisle pe saya-nashin
ki sar pe dhup ko ab saeban rakhna hai
ho intizar-e-bahaaran jahan na ranj-e-KHizan
'kamal' aisa bayaban makan rakhna hai
(893) Peoples Rate This