Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5dfe9c31d7404a68dbebe7d9c4a92329, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham-e-jaan Gum Gham-e-duniya Mein To Hona Mushkil - Hasan Akbar Kamal Poetry In English - Darsaal

Gham-e-jaan Gum Gham-e-duniya Mein To Hona Mushkil

gham-e-jaan gum gham-e-duniya mein to hona mushkil

hai samundar ko samundar mein samona mushkil

nind jis ne bahut aankhon se uDa rakkhi thi

ye hua kya ki hua us ko bhi sona mushkil

har sifat apni kahan deta hai gul KHushbu ko

KHwab dil ke meri aawaz mein hona mushkil

yun zamin zaiqa-e-KHun se hui hai manus

is mein ab fasl-e-mohabbat ki hai bona mushkil

kal hamein milne hain jo gham wo abhi mil jaen

aankh pathrai to ho jaega rona mushkil

waqt ko khelne insan se do ji bhar ke

phir 'kamal' us ko hai milna ye khilauna mushkil

(928) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-jaan Gum Gham-e-duniya Mein To Hona Mushkil In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Gham-e-jaan Gum Gham-e-duniya Mein To Hona Mushkil is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Gham-e-jaan Gum Gham-e-duniya Mein To Hona Mushkil for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Gham-e-jaan Gum Gham-e-duniya Mein To Hona Mushkil in PDF.