Duniya Mein Kitne Rang Nazar Aaenge Nae
duniya mein kitne rang nazar aaenge nae
hon did ke amal mein agar zawiye nae
chehra bhi aansuon se tar-o-taza ho gaya
barish ke baad sabza-o-gul bhi hue nae
badli hai ye zamin ki meri aankh wo nahin
begana shahr-o-dasht hain aur raste nae
us ko badal gaya nasha-e-KHud-supurdagi
manus KHal-o-KHad mujhe yaksar lage nae
sab se juda hain gar mere nau-zaida KHayal
jis ne diye KHayal wo alfaz de nae
(888) Peoples Rate This