Dukh UThao Kitne Hi Ghar Bahaar Karne Mein
dukh uThao kitne hi ghar bahaar karne mein
ek pal nahin lagta phul sab bikharne mein
zindagi ho kaisi bhi us se ji nahin bharta
warna sirf hota hai kitna waqt marne mein
khiDkiyan huin KHali phulon aur charaghon se
kaisa dil taDapta hai shahr se guzarne mein
waqt zaKHm bharta hai aur yun bhi hota hai
umr bit jati hai ek zaKHm bharne mein
sab ki baat dohrana yun to rasm-e-duniya hai
lutf aur hai lekin apni baat karne mein
ja basi hai wo laDki shahr mein magar ab bhi
gunjte hain git us ke har pahaDi jharne mein
(696) Peoples Rate This