Dudh Jaisa Jhag Lahren Ret Aur Ye Sipiyan
dudh jaisa jhag lahren ret aur ye sipiyan
jin ko chunti phir rahi hain motiyon si laDkiyan
bagh mein bachchon ke gird-o-pesh yun uDti phiren
jaise qatil apna apna DhunDhti hon titliyan
wo mujhe KHushiyan na de aur meri aankhen nam na hon
hai ye paiman zindagi ke aur mere darmiyan
baam-o-dar un ke hawa kis pyar se chhuti rahi
chandni ki god mein jab so rahi thin bastiyan
kal yahi bachche samundar ko muqabil paenge
aaj tairaate hain jo kaghaz ki nannhi kashtiyan
ghumna pahron ghane mahke hue ban mein 'kamal'
wapsi mein dekhna apne hi qadmon ke nishan
(770) Peoples Rate This