Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e849853ba187ee887ef8ba99a1591f4c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Tere KHulus Samoya Na Ja Saka - Hasan Akbar Kamal Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Tere KHulus Samoya Na Ja Saka

dil mein tere KHulus samoya na ja saka

patthar mein is gulab ko boya na ja saka

baqi hain is pe ab bhi purane ghamon ke aks

chehra to aansuon se bhi dhoya na ja saka

phulon ke jism chhedne dalon se aaj tak

KHushbu ko barchhiyon mein piroya na ja saka

kya tarjumani-e-gham-e-duniya karen ki jab

fan mein KHud apna gham bhi samoya na ja saka

shab-KHun ki rasm aisi paDi ahl-e-shahr mein

logon se lamha bhar ko bhi soya na ja saka

aankhon ki bastiyon mein bhi kya qaht-e-ashk tha

chaha 'kamal' roen to roya na ja saka

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Tere KHulus Samoya Na Ja Saka In English By Famous Poet Hasan Akbar Kamal. Dil Mein Tere KHulus Samoya Na Ja Saka is written by Hasan Akbar Kamal. Read famous Poem Dil Mein Tere KHulus Samoya Na Ja Saka for youth and Student by Hasan Akbar Kamal. Free Download Dil Mein Tere KHulus Samoya Na Ja Saka in PDF.