Habib-jalib
wo ek lamha jo sach bolne se Darta hai
jo zulm sahta hai jabr iKHtiyar karta hai
wo lamha maut ki wadi mein ja utarta hai
magar jo bar-e-sadaqat uTha ke zinda hai
sitamgaron ke sitam aazma ke zinda hai
wo lamha apne lahu mein naha ke zinda hai
wo ek lamha ki tariKH jis se raushan hai
mata-e-KHak usi ke lahu ka KHirman hai
dawam-e-fasl-e-bahaaran sabaat-e-gulshan hai
wo ek lamha hazaron baras pe ghaalib hai
jo aadmi ke liye azmaton ka talib hai
wo ek lamha nahin hai 'habib-jalib' hai
(953) Peoples Rate This