Tishna-kaamon Ko Yahan Kaun Subu Deta Hai
tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai
gul ko bhi hath lagao to lahu deta hai
neshtar aur sahi kar-e-digar aur sahi
dil-e-sad-chaak agar izn-e-rafu deta hai
tab-e-fariyaad bhi de lazzat-e-bedad bhi de
dene wale jo mujhe soz-e-gulu deta hai
hum to barbaad hue barg-e-KHizan ki surat
shaKH-e-gul kaun tujhe zauq-e-numu deta hai
munsifo hath se ab dashna-o-KHanjar rakh do
kya bura hai agar insaf adu deta hai
ai KHudawand mere sher ki qimat kya hai
ek roTi ka niwala jise tu deta hai
(896) Peoples Rate This