Pal Rahe Hain Kitne Andeshe Dilon Ke Darmiyan
pal rahe hain kitne andeshe dilon ke darmiyan
raat ki parchhaiyan jaise diyon ke darmiyan
phir kisi ne ek KHun-alud KHanjar rakh diya
KHauf ke zulmat-kade mein doston ke darmiyan
kya sunahri daur tha hum zard patton ki tarah
dar-ba-dar phirte rahe pili ruton ke darmiyan
ai KHuda insan ki taqsim-dar-taqsim dekh
parsaon dewtaon qatilon ke darmiyan
aashti ke nam par itni saf-arai hui
aa gai barud ki KHush-bu gulon ke darmiyan
mera chehra KHud bhi aashob-e-safar mein kho gaya
main ye kis ko DhunDta hun manzilon ke darmiyan
(871) Peoples Rate This