Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f1c56e2e2564e3e007a35934d7df2192, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sunahre KHwab Aankhon Mein Buna Karte The Hum Donon - Hasan Abbasi Poetry In English - Darsaal

Sunahre KHwab Aankhon Mein Buna Karte The Hum Donon

sunahre KHwab aankhon mein buna karte the hum donon

parindon ki tarah din bhar uDa karte the hum donon

ilahi zindagi yunhi mohabbat mein guzar jae

namaz-e-fazr paDh kar ye dua karte the hum donon

hamesha ThanDi ho jati thi chae baaton baaton mein

wo baaten jo in aankhon se kiya karte the hum donon

guzar jata tha sara din ikaTThe sipiyan chunte

samundar ke kinare par raha karte the hum donon

hawa ke ek jhonke se laraz jate darichon mein

charaghon ki tarah shab bhar jala karte the hum donon

mohabbat mein kaThin raste bahut aasan lagte the

pahaDon par suhulat se chaDha karte the hum donon

'hasan' ruswai ka KHadsha kabhi dil mein nahin aaya

KHayalon aur KHwabon mein mila karte the hum donon

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunahre KHwab Aankhon Mein Buna Karte The Hum Donon In English By Famous Poet Hasan Abbasi. Sunahre KHwab Aankhon Mein Buna Karte The Hum Donon is written by Hasan Abbasi. Read famous Poem Sunahre KHwab Aankhon Mein Buna Karte The Hum Donon for youth and Student by Hasan Abbasi. Free Download Sunahre KHwab Aankhon Mein Buna Karte The Hum Donon in PDF.