Tisri Aankh
to phir yun hua
hum shikasta-dilon ne sipar Dal di
jitne nawak-ba-dast apne ahbab
koh-e-wafa par khaDe the
hamein un sabhi ki jigar-dariyon
be-gharaz juraton par mukammal yaqin tha
magar jaan-nisari ke is marke mein
saf-e-ham-rahan ko palaT kar jo dekha
to koi nahin tha
sabhi nargha-e-dushmanan mein khaDe the
hujum-e-kashida-saran
pa-ba-zanjir zer-e-nagin tha
so phir yun hua
maqtalon ki taraf jab rawana hue hum
to sari jabinon pe nangi KHajalat
barahna nadamat ke qatre juDe the
hum andhe sarabon ke la-muntaha silsilon mein khaDe the
hazar saaton
thartharaate labon par
faqat KHamushi thi
sitam taziyanon ke qatil pharere
fasil-e-zaban-o-dahan par gaDe the
wo mausam kaDe the
to phir yun hua
hum darida-badan
dashna-e-qatilan ka hadaf ban gae
qatra qatra hamara chamakta gae
shahr-e-mehrban ke dar-o-baam par
jagmagane lage
tisri aankh ka nama-bar hum ko muzhda sunane laga
(1102) Peoples Rate This