Shaeri Pura Mard Aur Puri Aurat Mangti Hai
tum jo lafzon ke gorakh-dhande mein uljhe
be-ras shaeri karte ho
lughat se lafz uThate ho
aur daen baen un ko chaba kar
sher ugalte rahte
tum ko kya malum
ki kya hai ishq aur us ki haqiqat kya hai
pyar hai kya aur chahat kya hai
tum ne kisi ke hijr mein kab
raaten kaTi hain?
kab tum wasl ke nashshe se sarshaar hue ho
tum ko kya malum
ki honTon ka ras kya hota hai
kaise aankh se girte aansu moti ban jate hain
tum ko kya malum ki kaise
bazuon mein aa kar mahbub pighal jate hain
tum ko kya malum mohabbat kya hoti hai
tum ko kya malum judai ki shab kaise kaTti hai
aur din kitne viran hote hain
tum ko kya hai
tum to apni biwiyon se bhi
Dare Dare
sharminda sharminda ham-bistari karte ho
tum ko kya malum hai
shaeri
pura mard aur puri aurat mangti hai
tum ne kisi hijDe ke lab par
sher ka phul khile dekha hai
us ki ujDi viran aankh mein
nazm ka dip jale dekha hai
ye to ho sakta hai
(aur akasr aisa hota aaya hai)
shaer hijDe ho jate hain
lekin koi hijDa
shaer ho nahin sakta
shaeri pura mard
aur puri aurat mangti hai
(1890) Peoples Rate This