Safar Diwar-e-girya Ka
tumhein is shahr se ruKHsat hue
kitna zamana ho chuka phir bhi
abhi tak mere kamre mein
tumhaare jism ki KHushbu ka Dera hai
ba-zahir to tumhaare baad abhi tak main
bahut hi mutmain
aur shant lagta hun
magar jab raat ke pichhle pahar
kamre mein aata hun
to jaane kyun achanak
meri aankhon mein
nami si tairne lagti hai
palken bhig jati hain
aur us lamhe
na jaane kyun mujhe shak sa guzarta hai
ajab ek wahima sa
mere dil mein sar uThata hai
ki is viran kamre mein
kahin diwar-e-girya to nahin rakh di kisi ne!
(1000) Peoples Rate This