Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_22eb54c2eed4b85cbf1bed9d9d2e77fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chhajon Barasti Barish Ke Baad - Hasan Abbas Raza Poetry In English - Darsaal

Chhajon Barasti Barish Ke Baad

rifaqat ke nashe mein jhumte

do sabz patton ne

bahut aahista se tali bajai

aur kaha

dekho hasan-abbas!

itni KHub-surat rut mein

koi is tarah tanha bhi hota hai

jo tum is taur tanha ho!?

ye kah kar donon ek duje se yun lipTe

ki jaise ek din tu mujh se lipTi thi

usi lamhe

mere honTon pe tera shahd-agin

lams jag uTTha

aur us gum-gashta nashshe ko main honTon par sajae

apne kamre mein chala aaya

ki daftar ka bahut sa kaam baqi tha

(1650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhajon Barasti Barish Ke Baad In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Chhajon Barasti Barish Ke Baad is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Chhajon Barasti Barish Ke Baad for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Chhajon Barasti Barish Ke Baad in PDF.