Tujhse BichhaD Ke Samt-e-safar Bhulne Lage
tujh se bichhaD ke samt-e-safar bhulne lage
phir yun hua hum apna hi ghar bhulne lage
qurbat ke mausamon ki ada yaad rah gai
guzri rafaqaton ka asar bhulne lage
azbar hain yun to kucha-e-jaanan ke sab nishan
lekin hum us ki rahguzar bhulne lage
pahunche the hum bhi shahr-e-tilismat mein magar
wo ism jis se khulna tha dar bhulne lage
hum gosha-gir bhi the kisi mahr ki misal
ojhal hue udhar to udhar bhulne lage
jaan-e-'hasan' ab is se ziyaada main kya kahun
mar jaun teri yaad agar bhulne lage
(1096) Peoples Rate This