Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_38cbe9ccecd578572403596c64fea7a4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya - Hasan Abbas Raza Poetry In English - Darsaal

Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya

sine ki KHanqah mein aane nahin diya

hum ne use charag jalane nahin diya

duzdan-e-nim-shab ne bhi hile bahut kiye

lekin kisi ko KHwab churane nahin diya

ab ke shikast-o-reKHt ka kuchh aur hai sabab

ab ke ye zaKHm teri jafa ne nahin diya

is bar to sawal bhi mushkil na tha magar

is bar bhi jawab qaza ne nahin diya

kya shaKHs tha uData raha umr bhar mujhe

lekin hawa se hath milane nahin diya

mumkin hai wajh-e-tark-e-talluq usi mein ho

wo KHat jo mujh ko baad-e-saba ne nahin diya

is hairati nazar ki simaTti giraft ne

uThta hua qadam bhi uThane nahin diya

sham-e-widaa thi magar us rang-baz ne

panw pe honT rakh diye jaane nahin diya

kuchh to 'hasan' wo dad-o-sitad ke khare na the

kuchh hum ne bhi ye qarz chukane nahin diya

(1896) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya In English By Famous Poet Hasan Abbas Raza. Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya is written by Hasan Abbas Raza. Read famous Poem Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya for youth and Student by Hasan Abbas Raza. Free Download Sine Ki KHanqah Mein Aane Nahin Diya in PDF.