Riya-kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge
riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe mar denge
main bach bhi gaya to nae hamla-awar mujhe mar denge
ba-zahir ye ahl-e-mohabbat hain lekin munafiq bahut hain
ye ek roz dam-e-mohabbat mein la kar mujhe mar denge
main apni hi aawaz apne hi sae se Darne laga hun
aur ab KHauf ye hai ki mere yahi Dar mujhe mar denge
isi mein aman hai ki main un ke chehre palaT kar na dekhun
palaTne ki surat mein ye kina-parwar mujhe mar denge
main hone ko apne hi baatin mein ru-posh ho jaun lekin
mere apne ahbab shak ki bina par mujhe mar denge
ye kaamil yaqin hai ki jis din bhi apne muqabil mein aaya
meri zat mein morcha-band KHud-sar mujhe mar denge
'hasan' ab khule aasmanon mein parwaz karna paDegi
wagarna ye KHisht-e-hawas se bane ghar mujhe mar denge
(827) Peoples Rate This