Makin Yahin Ka Hai Lekin Makan Se Bahar Hai
makin yahin ka hai lekin makan se bahar hai
abhi wo shaKHs meri dastan se bahar hai
utar bhi sakta hai sartan ki tarah mujh mein
wo ishq jo mere wahm-o-guman se bahar hai
sawal ye nahin mujh se hai kyun gurezan wo
sawal ye hai ki kyun jism o jaan se bahar hai
na jaane kaise taraazu hua mere dil mein
wo ek tir jo teri kaman se bahar hai
mere wajud ka aaina puchhta hai mujhe
ye aks kab se tere KHak-dan se bahar hai
KHuda-gawah wo is darja KHub-surat thi
ki mera shauq-e-tamasha bayan se bahar hai
hamari jeb mein KHwabon ki rezgari hai
so len-den hamara dukan se bahar hai
mera amin koi tha to wo mera ham-zad
aur ab wahi mere pasmandgan se bahar hai
'hasan' mein hiddat-e-hijran se jal bhi sakta hun
ki mera jism tere saeban se bahar hai
(967) Peoples Rate This