Main Talash Mein Kisi Aur Ki Mujhe DhunDhta Koi Aur Hai
main talash mein kisi aur ki mujhe DhunDhta koi aur hai
main sawal hun kisi aur ka mera masala koi aur hai
kabhi chand-chehron ki bhiD se jo nikal ke aaya to ye khula
wo jo asl tha use kho diya jise pa liya koi aur hai
kaTi umr ek usi chah mein use dekhte kisi rah mein
magar ek zamane ke baad jo hua aashna koi aur hai
faqat ek pal ke firaq mein kai KHwab kirchiyan ho gae
jo palaT ke aae to yun laga yahan silsila koi aur hai
wahi log hain wahi nam hain wahi ghar wahi dar-o-baam hain
magar ab darichon ki oT se hamein jhankta koi aur hai
kisi aane wale safar ki jab karo ibtida to ye sochna
main akela is mein sharik hun ki mere siwa koi aur hai
use mil ke aae to sham ko mujhe aaine ne kaha suno
wo jo subh-dam tha hasan-'raza' wo tumhi ho ya koi aur hai
(1089) Peoples Rate This