Kisi Ke Hijr Mein Yun TuT Kar Roya Nahin Karte
kisi ke hijr mein yun TuT kar roya nahin karte
ye apna ranj hai aur ranj ka charcha nahin karte
judai ki ruton mein suraten dhundlane lagti hain
so aise mausamon mein aaina dekha nahin karte
ziyaada se ziyaada dil bichha dete hain raste mein
magar jis ne bichhaDna ho use roka nahin karte
hamesha ek masafat ghumti rahti hai panw mein
safar ke baad bhi kuchh log ghar pahuncha nahin karte
tani rassi pe dariya par utarna hi muqaddar ho
to phir sinon mein gharqabi ka Dar rakkha nahin karte
hamein ruswa kiya is nind mein chalne ki aadat ne
wagarna jagte mein hum kabhi aisa nahin karte
'hasan' jab laDkhaDa kar apne hi panw pe girna ho
to phir eDi pe itni der tak ghuma nahin karte
(1439) Peoples Rate This