Waqt Ajib Chiz Hai Waqt Ke Sath Dhal Gae
waqt ajib chiz hai waqt ke sath Dhal gae
tum bhi bahut badal gae hum bhi bahut badal gae
mere labon ke waste ab wo samaaten kahan
tum se kahen bhi kya ki tum dur bahut nikal gae
tez hawa ne har taraf aag bikher di tamam
apne hi ghar ka zikr kya shahr ke shahr jal gae
mauja-e-gul se ham-kanar ahl-e-junun ajib the
jaane kahan se aae the jaane kidhar nikal gae
shauq-e-visal tha bahut so hai visal hi visal
hijr ke rang ab kahan mausam-e-gham badal gae
surat-e-haal ab ye hai ki log KHilaf hain mere
ai mere ham-KHyal-o-KHwab tum to nahin badal gae
bu-e-gul aur hisar-e-gul ahl-e-chaman pe zulm hai
apni hudud-e-zat se jaan ke hum nikal gae
aab-e-hayat jaan kar zahr piya gaya yahan
zahr bhi KHamushi ka zahr-e-jism tamam gal gae
sham-e-badan bhi the kai rah-e-junun mein ham-safar
tab-e-muqawamat na thi dhup paDi pighal gae
(843) Peoples Rate This