Shahr Mein Shor Hai Us ShoKH Ke Aa Jaane Ka
shahr mein shor hai us shoKH ke aa jaane ka
har koi rup bhare phirta hai diwane ka
rind-o-waiz the baham dast-o-gareban kal raat
jaane kya haal hua shisha-o-paimane ka
shab ka aalam tha juda din ke taqaze kuchh aur
us se kya zikr karen raat ke afsane ka
tar-ba-tar KHun mein hai daman-e-ummid-e-bahaar
hath mein zaKHm hai TuTe hue paimane ka
us ki aankhon mein wahi rang wahi husn-e-talab
dil ko samjhaen magar faeda samjhane ka
sahn masjid ka hai aur 'hafiz'-o-'KHayyam' ke sher
jam-e-ghayab mein magar rang hai mai-KHane ka
(777) Peoples Rate This